hum tere aashiq-e-yagana hue
ham tire 'āshiq-e-yagāna hue
vāla-e-husan-e-jāvedāna hue
unhoñ ne paayā rutba-e-aksīr
jo tirī ḳhāk-e-āstāna hue
nā fasāna hamārā un ne sunā
usī hasrat meñ ham fasāna hue
sharf-e-mai-kada bayāñ kyā ho
yaañ ke riñd afzal-e-zamāna hue
saḳht hai vo bahāna jo 'rāsiḳh'
us ke ham kushta-e-bahāna hue
hum tere 'ashiq-e-yagana hue
wala-e-husan-e-jawedana hue
unhon ne paya rutba-e-aksir
jo teri KHak-e-astana hue
na fasana hamara un ne suna
usi hasrat mein hum fasana hue
sharf-e-mai-kada bayan kya ho
yan ke rind afzal-e-zamana hue
saKHt hai wo bahana jo 'rasiKH'
us ke hum kushta-e-bahana hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.