wo aalam tha shams-o-qamar muskurae
vo a.alam thā shams-o-qamar muskurā.e
sū-e-dil jo vo dekh kar muskurā.e
sitam hai sitam ye taqāzā-e-ulfat
ki royā kare dil nazar muskurā.e
Tapakte rahe merī āñkhoñ se aañsū
sitāre magar raat bhar muskurā.e
ye husn-e-ta.alluq ye dil kā muqaddar
vo dil kī taraf dekh kar muskurā.e
wo aalam tha shams-o-qamar muskurae
su-e-dil jo wo dekh kar muskurae
sitam hai sitam ye taqaza-e-ulfat
ki roya kare dil nazar muskurae
Tapakte rahe meri aankhon se aansu
sitare magar raat bhar muskurae
ye husn-e-talluq ye dil ka muqaddar
wo dil ki taraf dekh kar muskurae
- Book : Dabistan-E-Azimabad (Pg. 98)
- Publication : Nikhar Press, Mau Nath Bhanjan (1982)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.