gul-e-KHulus ki tarsil mein kami nahin ki
gul-e-ḳhulūs kī tarsīl meñ kamī nahīñ kī
ḳhudā gavāh ke tā.īd-e-be-rukHī nahīñ kī
nigāh-e-bad na tirī aa.ī yaad ko lag jaa.e
isī ḳhayāl se kamre meñ raushnī nahīñ kī
tirī galī se bhī ḳhud ko hasīñ samajhte the
so maiñ ne aise nazāroñ se baat hī nahīñ kī
uchaTtī ek nazar terī paḌ ga.ī jab se
kisī se ham ne zamāne meñ dostī nahīñ kī
ḳhirad kī masnad-e-uzmā bichhāo us ke liye
miyān-e-dasht-e-jinnoñ jis ne zindagī nahīñ kī
ye kaisā zo.am thā kin ālimoñ meñ rahtā thā
diye ne kis liye bai.at charāġh kī nahīñ kī
tumhīñ batāo mulāqāt se hai kyā hāsil
jo baat karnī thī us se agar vahī nahīñ kī
hamārī piyās ke sahrā meñ būd-o-bāsh to hai
magar shikāyat-e-tishna-labī kabhī nahīñ kī
ḳhazāna ilm-o-hunar kā luTā rahā hai vo 'nūr'
barā.e nāmvarī us ne shā.irī nahīñ kī
gul-e-KHulus ki tarsil mein kami nahin ki
KHuda gawah ke taid-e-be-rukHi nahin ki
nigah-e-bad na teri aai yaad ko lag jae
isi KHayal se kamre mein raushni nahin ki
teri gali se bhi KHud ko hasin samajhte the
so main ne aise nazaron se baat hi nahin ki
uchaTti ek nazar teri paD gai jab se
kisi se hum ne zamane mein dosti nahin ki
KHirad ki masnad-e-uzma bichhao us ke liye
miyan-e-dasht-e-jinnon jis ne zindagi nahin ki
ye kaisa zoam tha kin aalimon mein rahta tha
diye ne kis liye baiat charagh ki nahin ki
tumhin batao mulaqat se hai kya hasil
jo baat karni thi us se agar wahi nahin ki
hamari piyas ke sahra mein bud-o-bash to hai
magar shikayat-e-tishna-labi kabhi nahin ki
KHazana ilm-o-hunar ka luTa raha hai wo 'nur'
barae namwari us ne shairi nahin ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.