Font by Mehr Nastaliq Web

gul ka kiya jo chaak gareban bahaar ne

Bedam Shah Warsi

gul ka kiya jo chaak gareban bahaar ne

Bedam Shah Warsi

gul kiyā jo chaak garebāñ bahār ne

dast-e-junūñ lage mire kapḌe utārne

chhoḌā kahīñ na mujh ko nasīm-e-bahār ne

kunj-e-qafas meñ bhī mujhe aa.ī ubhārne

ab dil laaj mashq-e-tasavvur ke haath hai

shīsha meñ us parī ko chalā hai utārne

saaqī to saaqī bāda-parastoñ ke paañv par

sajde karā.e laġhzish-e-mastāna-vār ne

ab to nazar meñ daulat-e-kaunain hech hai

jab tujh ko liyā dil-e-ummīd-vār ne

chashm-e-adā-shanās ko hairān kar diyā

husn apnā zarre zarre meñ dikhlā ke yaar ne

'bedam' tumhārī āñkheñ haiñ kyā arsh charāġh

raushan kiyā hai naqsh-e-kaf-e-pā-e-yār ne

gul ka kiya jo chaak gareban bahaar ne

dast-e-junun lage mere kapDe utarne

chhoDa kahin na mujh ko nasim-e-bahaar ne

kunj-e-qafas mein bhi mujhe aai ubhaarne

ab dil ki laj mashq-e-tasawwur ke hath hai

shisha mein us pari ko chala hai utarne

saqi to saqi baada-paraston ke panw par

sajde karae laghzish-e-mastana-war ne

ab to nazar mein daulat-e-kaunain hech hai

jab tujh ko pa liya dil-e-ummid-war ne

chashm-e-ada-shanas ko hairan kar diya

husn apna zarre zarre mein dikhla ke yar ne

'bedam' tumhaari aankhen hain kya arsh ka charagh

raushan kiya hai naqsh-e-kaf-e-pa-e-yar ne

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now