Sufinama

hañ wahī ishq-o-mohabbat kī jilā hotī hai

Fana Bulandshahri

hañ wahī ishq-o-mohabbat kī jilā hotī hai

Fana Bulandshahri

MORE BYFana Bulandshahri

    haañ vahī ishq-o-mohabbat jilā hotī hai

    jo ibādat dar-e-jānāñ pe adā hotī hai

    jo giraftār-e-mohabbat haiñ ye un se pūchho

    naaz kyā chiiz hai kyā chiiz adā hotī hai

    un nazroñ haqīqat ko koī kyā jaane

    un nazroñ meñ har ik ġham davā hotī hai

    kyuuñ na chehre pe malūñ ḳhāk-e-dar-e-yār ko maiñ

    yahī vo ḳhaak hai jo ḳhāk-e-shifā hotī hai

    rā.egāñ sajde bhī ho jaate haiñ maqbūl-e-karam

    shāmil-e-hāl agar un razā hotī hai

    jaane kyā chiiz chhupī hai tire jalvoñ meñ sanam

    saarī duniyā tere jalvoñ pe fidā hotī hai

    maiñ bhī huuñ ek ināyat nazar tālib

    tere kūche meñ marīzoñ ko shifā hotī hai

    un ke maiḳhāne ko chhū aatī hai jab fasl-e-bahār

    phuul khil jaate haiñ mastī meñ havā hotī hai

    ai 'fanā' miltā hai āshiq ko baqā paiġhām

    zindagī jab rah-e-ulfat meñ fanā hotī hai

    hañ wahī ishq-o-mohabbat jilā hotī hai

    jo ibādat dar-e-jānāñ pe adā hotī hai

    jo giraftār-e-mohabbat haiñ ye un se pūchho

    naz kyā chiz hai kyā chiz adā hotī hai

    un nazroñ haqīqat ko koī kyā jaane

    un nazroñ meñ har ek ġham dawā hotī hai

    kyuñ na chehre pe malūñ ḳhāk-e-dar-e-yār ko maiñ

    yahī wo ḳhak hai jo ḳhāk-e-shifā hotī hai

    rāegāñ sajde bhī ho jate haiñ maqbūl-e-karam

    shāmil-e-hāl agar un razā hotī hai

    jaane kyā chiz chhupī hai tere jalwoñ meñ sanam

    sarī duniyā tere jalwoñ pe fidā hotī hai

    maiñ bhī huñ ek ināyat nazar tālib

    tere kūche meñ marīzoñ ko shifā hotī hai

    un ke maiḳhāne ko chhū aatī hai jab fasl-e-bahār

    phul khil jate haiñ mastī meñ hawā hotī hai

    ai 'fanā' miltā hai āshiq ko baqā paiġhām

    zindagī jab rah-e-ulfat meñ fanā hotī hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now