haye majburi dil-e-nashad ki
haaye majbūrī dil-e-nāshād kī
rū-ba-rū un ke bhī na fariyād kī
dil ke hāthoñ luT ga.e rusvā hue
kyā kahūñ tafsīl us rūdād kī
hai vafā jab maz.hab-e-'ishq-e-ġhayūr
kyā shikāyat husn ke bedād kī
ek us kī yaad hī to hai faqat
daulat mujh se be-kas-o-be-dād kī
'ishq vaalo ne ḳharābe meñ yahāñ
ik na.ī duniyā-e-dūñ ābād kī
ik qayāmat roz hai dil pe mire
kyā kahūñ us vā’da-o-mī’ād kī
bole vo qabr-e-shikasta pe mirī
'ishq ne miTTī terī barbād kī
chhā gayā ek kaif kā 'ālam basīt
jab bhī chashm-e-nargisīñ vo yaad kī
piitā huuñ mai kah ke bismillāh 'farāz'
karbalā kī diivā aur baġhdād kī
haye majburi dil-e-nashad ki
ru-ba-ru un ke bhi na fariyaad ki
dil ke hathon luT gae ruswa hue
kya kahun tafsil us rudad ki
hai wafa jab mazhab-e-'ishq-e-ghayur
kya shikayat husn ke bedad ki
ek us ki yaad hi to hai faqat
daulat mujh se be-kas-o-be-dad ki
'ishq walo ne KHarabe mein yahan
ek nai duniya-e-dun aabaad ki
ek qayamat roz hai dil pe mere
kya kahun us wa’da-o-mi’ad ki
bole wo qabr-e-shikasta pe meri
'ishq ne miTTi teri barbaad ki
chha gaya ek kaif ka 'alam basit
jab bhi chashm-e-nargisin wo yaad ki
pita hun mai kah ke bismillah 'faraaz'
karbala ki diwa aur baghdad ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.