hai chashm se manzur to didar hai tera
hai chashm se manzur to didar hai tera
Mirza Muhammad Ali Fidvi
MORE BYMirza Muhammad Ali Fidvi
hai chashm se manzūr to dīdār hai terā
kuchh kaam zabāñ se hai to iqrār hai terā
ho jaan badan meñ to fidā hone ko tujh par
siine meñ rahe dil to giraftār hai terā
āñkhoñ meñ jagah hai to tasavvur hī ko tere
hai dil meñ bharā kuchh to yahāñ pyaar hai terā
hai chashm se manzur to didar hai tera
kuchh kaam zaban se hai to iqrar hai tera
ho jaan badan mein to fida hone ko tujh par
sine mein rahe dil to giraftar hai tera
aankhon mein jagah hai to tasawwur hi ko tere
hai dil mein bhara kuchh to yahan pyar hai tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.