nikle jo dam kisi ka tere intizar mein
nikle jo dam kisī kā tere intizār meñ
kyā ḳhaak chain paa.e vo kunj-e-mazār meñ
o mast-e-nāz uf terī mahshar-ḳhirāmiyāñ
ik hashr sā bapā hai dil-e-be-qarār meñ
kahnā na phir kahīñ hameñ badnām kar diyā
dekho ki dil nahīñ hai mire iḳhtiyār meñ
ab kyā kaheñ ki kaise milā āstān-e-yār
sajde qadam qadam pe kiye rāh-guzār meñ
us andalīb-e-soḳhta-sāmāñ kī kuchh na pūchh
jis kā ujaḌ gayā ho nasheman bahār meñ
us barq-vash ke husn kī allāh re tapish
ik aag sī lagī hai dil-e-dāġh-dār meñ
qismat kī nā-rasā.iyāñ ba.ad-e-fanā rahīñ
mar ke bhī dafn ho na sakā kū-e-yār meñ
kyā pūchhte ho dil kā pata dil kā kyā pata
muddat huī ki mil gayā gard-o-ġhubār meñ
ḳhurshīd-e-hashr apnī dikhātā hai tābisheñ
maiñ so rahā huuñ gosha-e-dāmān-e-yār meñ
'hairat' ki tujh ko hairat-e-dīdār ho nasīb
aa dekh le tū shān-e-ḳhudā husn-e-yār meñ
nikle jo dam kisi ka tere intizar mein
kya KHak chain pae wo kunj-e-mazar mein
o mast-e-naz uf teri mahshar-KHiramiyan
ek hashr sa bapa hai dil-e-be-qarar mein
kahna na phir kahin hamein badnam kar diya
dekho ki dil nahin hai mere iKHtiyar mein
ab kya kahen ki kaise mila aastan-e-yar
sajde qadam qadam pe kiye rah-guzar mein
us andalib-e-soKHta-saman ki kuchh na puchh
jis ka ujaD gaya ho nasheman bahaar mein
us barq-wash ke husn ki allah re tapish
ek aag si lagi hai dil-e-dagh-dar mein
qismat ki na-rasaiyan baad-e-fana rahin
mar ke bhi dafn ho na saka ku-e-yar mein
kya puchhte ho dil ka pata dil ka kya pata
muddat hui ki mil gaya gard-o-ghubar mein
KHurshid-e-hashr apni dikhata hai tabishen
main so raha hun gosha-e-daman-e-yar mein
'hairat' ki tujh ko hairat-e-didar ho nasib
aa dekh le tu shan-e-KHuda husn-e-yar mein
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 128)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.