shikwa-e-gham meri aadat hi sahi
shikva-e-ġham mirī 'ādat hī sahī
aap kī mujh pe ināyat hī sahī
sun to lete kabhī az-rāh-e-karam
qissa-e-ġham bhī shikāyat hī sahī
aap taskīn kī zahmat to kareñ
be-qarārī mirī 'ādat hī sahī
kyuuñ kareñ ham gilā-e-jaur-o-jafā
ye bhī ik un kī ināyat hī sahī
dam āḳhir tū ayādat kar lo
aur ik baar kī zahmat hī sahī
jis tarah guzre guzāro haadī
na sahī aish musībat hī sahī
shikwa-e-gham meri 'adat hi sahi
aap ki mujh pe inayat hi sahi
sun to lete kabhi az-rah-e-karam
qissa-e-gham bhi shikayat hi sahi
aap taskin ki zahmat to karen
be-qarari meri 'adat hi sahi
kyun karen hum gila-e-jaur-o-jafa
ye bhi ek un ki inayat hi sahi
dam aaKHir tu ayaadat kar lo
aur ek bar ki zahmat hi sahi
jis tarah guzre guzaro hadi
na sahi aish musibat hi sahi
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 329)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.