ji chahta hai lazzat-e-gham aur ziyaada
jī chāhtā hai lazzat-e-ġham aur ziyāda
ai kaash ho andoh-o-alam aur ziyāda
dil ko hai tamannā-e-karam aur ziyāda
haañ ai sitam-ījād sitam aur ziyāda
vo sāmne aa.eñ to nikal aate haiñ aañsū
hotā hai masarrat meñ alam aur ziyāda
'hādī' kuchh is andāz se vo dete haiñ taskīñ
baḌh jaatī hai be-tābī-e-ġham aur ziyāda
ji chahta hai lazzat-e-gham aur ziyaada
ai kash ho andoh-o-alam aur ziyaada
dil ko hai tamanna-e-karam aur ziyaada
han ai sitam-ijad sitam aur ziyaada
wo samne aaen to nikal aate hain aansu
hota hai masarrat mein alam aur ziyaada
'hadi' kuchh is andaz se wo dete hain taskin
baDh jati hai be-tabi-e-gham aur ziyaada
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 330)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.