husn-e-ulfat agar ayan hojaye
husn-e-ulfat agar ayaañ hojāye
mahshar-e-ārzū jahāñ hojāye
sail-e-ashk apnā gar ravāñ hojāye
ġharq bahr-e-alam ho jahāñ hojāye
us kī shān-e-hijāb dekho to
apne jalvoñ meñ jo nihāñ hojāye
us se pūchhe koī ḳhushī us kī
tere ġham kā jo rāz-dāñ hojāye
hai ye takmīl-e-ulfat ai haadī
dāman ziist dhajjiyāñ hojāye
husn-e-ulfat agar ayan hojaye
mahshar-e-arzu jahan hojaye
sail-e-ashk apna gar rawan hojaye
gharq bahr-e-alam ho jahan hojaye
us ki shan-e-hijab dekho to
apne jalwon mein jo nihan hojaye
us se puchhe koi KHushi us ki
tere gham ka jo raaz-dan hojaye
hai ye takmil-e-ulfat ai hadi
daman zist dhajjiyan hojaye
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 330)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.