kis tarah chhupaun gham-e-pinhan-e-mohabbat
kis tarah chhupā.ūñ ġham-e-pinhān-e-mohabbat
jab merī ḳhamoshī hai ḳhud ailān-e-mohabbat
āñkhoñ se umaDte hī chale aate haiñ aañsū
uThne ko hai shāyad koī tūfān-e-mohabbat
ho jaatī haiñ pur-nūr ye tārīk fazā.eñ
lau detī hai jab sham.a-e-farozān-e-mohabbat
kyā pūchhte ho haadī nāshād kā a.alam
barbād mohabbat hai pareshān mohabbat
kis tarah chhupaun gham-e-pinhan-e-mohabbat
jab meri KHamoshi hai KHud ailan-e-mohabbat
aankhon se umaDte hi chale aate hain aansu
uThne ko hai shayad koi tufan-e-mohabbat
ho jati hain pur-nur ye tarik fazaen
lau deti hai jab shama-e-farozan-e-mohabbat
kya puchhte ho hadi nashad ka aalam
barbaad mohabbat hai pareshan mohabbat
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 330)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.