Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

hum dil miTa ke manzil-e-taskin pa gae

Niyaz Makanpuri

hum dil miTa ke manzil-e-taskin pa gae

Niyaz Makanpuri

MORE BYNiyaz Makanpuri

    ham dil miTā ke manzil-e-taskīn ga.e

    ab zindagī ko jiine ke andāz aa ga.e

    barbādiyāñ vo shiddat-e-ehsās de ga.iiñ

    ġhuncha bhī koī chaTkā to ham tilmilā ga.e

    sau rāste talab ko dikhā.e ummīd ne

    jab bhī huā gumān ki manzil pe aa ga.e

    duniyā meñ kis se māñgeñ nigāh-e-karam bhiik

    ham se to hādisāt bhī āñkheñ churā ga.e

    ehsās-e-bekasī nazākat pe ik nazar

    phir un pe tabsira ki jo dāman bachā ga.e

    aksar huā hai ye bhī ki pursān-e-hāl bhī

    hamdardiyoñ se dard shiddat baḌhā ga.e

    vo chashm-e-iltifāt-e-gurezāñ bhī ho ga.ī

    ahl-e-vafā sila bhī vafāoñ ga.e

    iz.hār ġham meñ dil vo 'ālam ki al-amāñ

    jumbish huī zabāñ ko to lab thartharā ga.e

    aañsū kuchh is tarah se chhalak aa.e ai 'niyāz'

    zālim mirī nazar se mujhe bhī girā ga.e

    hum dil miTa ke manzil-e-taskin pa gae

    ab zindagi ko jine ke andaz aa gae

    barbaadiyan wo shiddat-e-ehsas de gain

    ghuncha bhi koi chaTka to hum tilmila gae

    sau raste talab ko dikhae ummid ne

    jab bhi hua guman ki manzil pe aa gae

    duniya mein kis se mangen nigah-e-karam ki bhik

    hum se to hadisat bhi aankhen chura gae

    ehsas-e-bekasi ki nazakat pe ek nazar

    phir un pe tabsira ki jo daman bacha gae

    aksar hua hai ye bhi ki pursan-e-haal bhi

    hamdardiyon se dard ki shiddat baDha gae

    wo chashm-e-iltifat-e-gurezan bhi ho gai

    ahl-e-wafa sila bhi wafaon ka pa gae

    izhaar gham mein dil ka wo 'alam ki al-aman

    jumbish hui zaban ko to lab tharthara gae

    aansu kuchh is tarah se chhalak aae ai 'niyaz'

    zalim meri nazar se mujhe bhi gira gae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now