Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ġham-e-duniyā ġham-e-hastī ġham-e-ulfat ġham-e-dil

Fana Bulandshahri

ġham-e-duniyā ġham-e-hastī ġham-e-ulfat ġham-e-dil

Fana Bulandshahri

MORE BYFana Bulandshahri

    ġham-e-duniyā ġham-e-hastī ġham-e-ulfat ġham-e-dil

    kitne unvān mile haiñ mire afsāne ko

    phir se aa jā.egī dekho tan-e-be-jān meñ jaan

    aap āvāz to diije zarā dīvāne ko

    be-ḳhudī meñ bhī tirā naam liye jaate haiñ

    rog ye kaisā lagā hai tire mastāne ko

    tujh se bas itnī talab hai tire dīvāne

    apne jalvoñ se sajā de mire ġham-ḳhāne ko

    sho.ala-e-dard-e-mohabbat koī bhaḌkā.e to

    ham to tayyār haiñ is aag meñ jal jaane ko

    gar mirā zauq-e-jabīñ-sā.ī salāmat hai 'fanā'

    ka.aba ik rose banā dūñgā sanam-ḳhāne ko

    ġham-e-duniyā ġham-e-hastī ġham-e-ulfat ġham-e-dil

    kitne unwān mile haiñ mere afsāne ko

    phir se aa jāegī dekho tan-e-be-jān meñ jaan

    aap āwāz to dije zarā dīwāne ko

    be-ḳhudī meñ bhī tirā nam liye jate haiñ

    rog ye kaisā lagā hai tere mastāne ko

    tujh se bas itnī talab hai tere dīwāne

    apne jalwoñ se sajā de mere ġham-ḳhāne ko

    shoala-e-dard-e-mohabbat koī bhaḌkāe to

    hum to tayyār haiñ is aag meñ jal jaane ko

    gar mirā zauq-e-jabīñ-sāī salāmat hai 'fanā'

    kaba ek rose banā dūñgā sanam-ḳhāne ko

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now