hum hī tanhā na tirī chashm ke bīmār hue
ham hī tanhā na tirī chashm ke bīmār hue
is maraz meñ to ka.ī ham se giraftār hue
sīna-e-ḳhasta hamāre se hai ġhirbāl ko rashk
nāvak-e-ġham jigar-o-dil se zi-bas paar hue
bikne motī lage bāzār meñ kauḌī kauḌī
yaad meñ terī zi-bas chashm-e-guhar-bār hue
roz-e-avval ki tum aa misr-e-mohabbat ke biich
yūsuf-e-asr hue raunaq-e-bāzār hue
naqd-e-jān-o-dil-o-dīñ de ke liyā ham ne tumheñ
saikḌoñ ahl-e-havas garche ḳharīdār hue
ghar meñ le aa.e tumheñ chaah se karne shādī
ki tum is ġham-kade meñ sham-e-shab-tār hue
ruḳh-e-tābāñ se tumhāre ki hai ḳhurshīd-misāl
dar-o-dīvār sabhī matla-e-anvār hue
DhūñDhte tum ko paḌe phirte the ham shahr-ba-shahr
ḳhvār-o-rusvā-e-sar-e-kūcha-o-bāzār hue
lillāhil-hamd ki muddat meñ tum ai nūr-e-nigāh
bā.is-e-raushnī-e-dīda-e-ḳhūñ-bār hue
ḳhāna-e-chashm meñ rakhte the shab-o-roz ki tum
qurrat-ul-ain hue rāhat-e-dīdār hue
dekh kar mehr-o-vafā o karam-o-lutf ko ham
jānte yuuñ the ki tum yār-e-vafādār hue
jis meñ tum hote ḳhushī so hī to ham karte the
par nahīñ jānte kis vāste bezār hue
ab hameñ chhoḌ ke yuuñ zār-o-nizār-o-ġhamgīñ
tum kahīñ aur hī jā yaañ se numūdār hue
ye to hargiz hī na thī tum se tavaqqo ham ko
ki sitamgār dil-āzār jafā-kār hue
na vo iḳhlās-o-mohabbat hai na vo mehr-o-vafā
sheva-e-jaur-o-jafā-o-sitam iz.hār hue
yā vo altāf-o-karam thā ki sadā rahte the
ai gul-andām hamāre ga.e ke haar hue
is meñ hairāñ haiñ ki kyā aisī huī hai taqsīr
qatl karne ke ta.iiñ phirte ho tayār hue
teġh-e-ḳhūñ-rez-ba-kaf ḳhanjar-e-burrāñ ba-miyāñ
har ghaḌī sāmne aa jaate ho ḳhuñḳhār hue
phir to kyā hai sunte ho uTho bismillāh
khīñch kar teġh ko aao jo sitamgār hue
varna dil khol ke lag jaao gale se pyāre
go ki ham qatl hī karne ke sazā-vār hue
utnī hī baat ke kahne meñ ki ik bosa do
aah ai shoḳh jo aise hī gunāhgār hue
tauba karte haiñ qasam khāte haiñ sunte ho tum
phir nahīñ kahne ke aage ko ḳhabar-dār hue
pūchhtā kyā hai tū 'bedār' hamārā ahvāl
dām-e-ḳhūbāñ meñ phir ab aa.e giraftār hue
hum hī tanhā na tirī chashm ke bīmār hue
is maraz meñ to kaī hum se giraftār hue
sīna-e-ḳhasta hamāre se hai ġhirbāl ko rashk
nāwak-e-ġham jigar-o-dil se zi-bas par hue
bikne motī lage bāzār meñ kauḌī kauḌī
yaad meñ terī zi-bas chashm-e-guhar-bār hue
roz-e-awwal ki tum aa misr-e-mohabbat ke bich
yūsuf-e-asr hue raunaq-e-bāzār hue
naqd-e-jān-o-dil-o-dīñ de ke liyā hum ne tumheñ
saikḌoñ ahl-e-hawas garche ḳharīdār hue
ghar meñ le aae tumheñ chah se karne shādī
ki tum is ġham-kade meñ sham-e-shab-tār hue
ruḳh-e-tābāñ se tumhāre ki hai ḳhurshīd-misāl
dar-o-dīwār sabhī matla-e-anwār hue
DhūñDhte tum ko paḌe phirte the hum shahr-ba-shahr
ḳhwār-o-ruswā-e-sar-e-kūcha-o-bāzār hue
lillāhil-hamd ki muddat meñ tum ai nūr-e-nigāh
bāis-e-raushnī-e-dīda-e-ḳhūñ-bār hue
ḳhāna-e-chashm meñ rakhte the shab-o-roz ki tum
qurrat-ul-ain hue rāhat-e-dīdār hue
dekh kar mehr-o-wafā o karam-o-lutf ko hum
jānte yuñ the ki tum yār-e-wafādār hue
jis meñ tum hote ḳhushī so hī to hum karte the
par nahīñ jānte kis wāste bezār hue
ab hameñ chhoḌ ke yuñ zār-o-nizār-o-ġhamgīñ
tum kahīñ aur hī jā yañ se numūdār hue
ye to hargiz hī na thī tum se tawaqqo hum ko
ki sitamgār dil-āzār jafā-kār hue
na wo iḳhlās-o-mohabbat hai na wo mehr-o-wafā
shewa-e-jaur-o-jafā-o-sitam izhār hue
yā wo altāf-o-karam thā ki sadā rahte the
ai gul-andām hamāre gae ke haar hue
is meñ hairāñ haiñ ki kyā aisī huī hai taqsīr
qatl karne ke taiñ phirte ho tayār hue
teġh-e-ḳhūñ-rez-ba-kaf ḳhanjar-e-burrāñ ba-miyāñ
har ghaḌī sāmne aa jate ho ḳhuñḳhār hue
phir to kyā hai sunte ho uTho bismillāh
khīñch kar teġh ko aao jo sitamgār hue
warna dil khol ke lag jao gale se pyāre
go ki hum qatl hī karne ke sazā-wār hue
utnī hī baat ke kahne meñ ki ek bosa do
aah ai shoḳh jo aise hī gunāhgār hue
tauba karte haiñ qasam khāte haiñ sunte ho tum
phir nahīñ kahne ke aage ko ḳhabar-dār hue
pūchhtā kyā hai tū 'bedār' hamārā ahwāl
dām-e-ḳhūbāñ meñ phir ab aae giraftār hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.