Sufinama

humse sab kahte hain tum is se mile to kya hue

Shah Akbar Danapuri

humse sab kahte hain tum is se mile to kya hue

Shah Akbar Danapuri

MORE BYShah Akbar Danapuri

    ham se sab kahte haiñ tum is se mile to kyā hue

    ham ye kahte haiñ duī jaatī rahī yaktā hue

    Thiik zad par tuur thā ye to uchaTtī choT thī

    aur phir us par bhī be-ḳhud hazrat-e-mūsā hue

    qatre jab dariyā meñ girte haiñ to hotā hai ye shor

    dekhne vaale hameñ dekheñ ki ham dariyā hue

    nadī naale haiñ ye sab jab tak na dariyā se mileñ

    jab ye dariyā se mile kar to sab dariyā hue

    hazrat-e-majnūñ tumhāre ishq ko merā salām

    kūcha-e-lailā se nikle sākin sahrā hue

    qabr meñ bhī 'akbar' us ko saath ham le jā.eñge

    ulfat-e-haq saath thī jis vaqt ham paidā hue

    hum se sab kahte hain tum is se mile to kya hue

    hum ye kahte hain dui jati rahi yakta hue

    Thik zad par tur tha ye to uchaTti choT thi

    aur phir us par bhi be-KHud hazrat-e-musa hue

    qatre jab dariya mein girte hain to hota hai ye shor

    dekhne wale hamein dekhen ki hum dariya hue

    nadi nale hain ye sab jab tak na dariya se milen

    jab ye dariya se mile ja kar to sab dariya hue

    hazrat-e-majnun tumhaare ishq ko mera salam

    kucha-e-laila se nikle sakin sahra hue

    qabr mein bhi 'akbar' us ko sath hum le jaenge

    ulfat-e-haq sath thi jis waqt hum paida hue

    Source :
    • Book : Jazbat-e-Akbar (Pg. 206)
    • Author :Shah Akbar Danapuri
    • Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now