Font by Mehr Nastaliq Web

hum tirī ḳhātir-e-nāzuk se ḳhatar karte haiñ

Meer Muhammad Bedar

hum tirī ḳhātir-e-nāzuk se ḳhatar karte haiñ

Meer Muhammad Bedar

MORE BYMeer Muhammad Bedar

    ham tirī ḳhātir-e-nāzuk se ḳhatar karte haiñ

    varna naale to ye patthar meñ asar karte haiñ

    dil o diiñ thā so liyā aur bhī kuchh matlab hai

    baar baar aap jo īdhar ko nazar karte haiñ

    fā.eda kyā hai agar sharq se tā-ġharb phire

    rāh-rau ve haiñ jo hastī se safar karte haiñ

    ham to har shakl meñ yaañ ā.ina-ḳhāne misāl

    aap aate haiñ nazar sair jidhar karte haiñ

    kyā ho gar koī ghaḌī yaañ bhī karam farmāo

    aap is raah se āḳhir to guzar karte haiñ

    tere ayyām-e-firāq ai sanam-e-mehr-ġhusil

    aah mat pūchh ki kis tarah basar karte haiñ

    din ko phirte haiñ tujhe DhūñDne aur raat tamām

    sham.a tarah se ro ro ke sahar karte haiñ

    bas nahīñ ḳhuub ki aise ko dil apnā diije

    aage jaan miyāñ ham to ḳhabar karte haiñ

    ye vahī fitna-e-āshob-e-jahāñ hai 'bedār'

    dekh kar piir o javāñ jis ko hazar karte haiñ

    hum tirī ḳhātir-e-nāzuk se ḳhatar karte haiñ

    warna nale to ye patthar meñ asar karte haiñ

    dil o diñ thā so liyā aur bhī kuchh matlab hai

    bar bar aap jo īdhar ko nazar karte haiñ

    fāeda kyā hai agar sharq se tā-ġharb phire

    rāh-rau we haiñ jo hastī se safar karte haiñ

    hum to har shakl meñ yañ āina-ḳhāne misāl

    aap aate haiñ nazar sair jidhar karte haiñ

    kyā ho gar koī ghaḌī yañ bhī karam farmāo

    aap is rah se āḳhir to guzar karte haiñ

    tere ayyām-e-firāq ai sanam-e-mehr-ġhusil

    aah mat pūchh ki kis tarah basar karte haiñ

    din ko phirte haiñ tujhe DhūñDne aur raat tamām

    shama tarah se ro ro ke sahar karte haiñ

    bas nahīñ ḳhub ki aise ko dil apnā dije

    aage jaan miyāñ hum to ḳhabar karte haiñ

    ye wahī fitna-e-āshob-e-jahāñ hai 'bedār'

    dekh kar pir o jawāñ jis ko hazar karte haiñ

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now