hamein achchhe nahin lagte tamasha dekhne wale
hameñ achchhe nahīñ lagte tamāshā dekhne vaale
tajallī ḳhud na kyuuñ ban jaa.eñ jalvā dekhne vaale
zahe ai hairat-e-jalva tujhī ko marhabā kahiye
na jalvā hī rahā baaqī na jalvā dekhne vaale
yahī hai avval-o-āḳhir masarrat ke fasānoñ kā
sun ai merī musībat kā tamāshā dekhne vaale
mujhe be-parda kar ke aap jā baiThā hai parda meñ
nikal parde se o merā tamāshā dekhne vaale
hamein achchhe nahin lagte tamasha dekhne wale
tajalli KHud na kyun ban jaen jalwa dekhne wale
zahe ai hairat-e-jalwa tujhi ko marhaba kahiye
na jalwa hi raha baqi na jalwa dekhne wale
yahi hai awwal-o-aKHir masarrat ke fasanon ka
sun ai meri musibat ka tamasha dekhne wale
mujhe be-parda kar ke aap ja baiTha hai parda mein
nikal parde se o mera tamasha dekhne wale
- Book : Intikhab-e-Kalaam-e-Maikash (Pg. 84)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.