hansi bhi gharq-e-fughan hai fughan ko kya kahiye
hañsī bhī ġharq-e-fuġhāñ hai fuġhāñ ko kyā kahiye
bahār bhī to ḳhizāñ hai ḳhizāñ ko kyā kahiye
fazā.e dahr ko apne ḳhilāf paatā huuñ
karishma-e-nigh-e-bad-gumāñ ko kyā kahiye
hamāre dil ko bhī hasrat thī muskurāne kī
navāzishāt-e-ġham-e-be-karāñ ko kyā kahiye
najāt de na sake dil ko jo ummīdoñ se
to aise hādisā-e-nā-gihāñ ko kyā kahiye
girāñ-bahā hai musībat kā ek-ek nafas
magar bisāt-e-dil-e-nā-tavāñ ko kyā kahiye
shikasta-pā.ī kā sāthī jo kārvāñ na huā
to ab ġhubār-e-pas-e-kārvāñ ko kyā kahiye
hamārī zaat se ifshā-e-rāz kā imkāñ
magar navāzish-e-ahl-e-jahāñ ko kyā kahiye
'niyāz'-e-dil hī nazar aa.e jab harīf-e-ḳhushī
to us ke baa'd ġham-e-be-amāñ ko kyā kahiye
hansi bhi gharq-e-fughan hai fughan ko kya kahiye
bahaar bhi to KHizan hai KHizan ko kya kahiye
fazae dahr ko apne KHilaf pata hun
karishma-e-nigh-e-bad-guman ko kya kahiye
hamare dil ko bhi hasrat thi muskurane ki
nawazishat-e-gham-e-be-karan ko kya kahiye
najat de na sake dil ko jo ummidon se
to aise hadisa-e-na-gihan ko kya kahiye
giran-baha hai musibat ka ek-ek nafas
magar bisat-e-dil-e-na-tawan ko kya kahiye
shikasta-pai ka sathi jo karwan na hua
to ab ghubar-e-pas-e-karwan ko kya kahiye
hamari zat se ifsha-e-raaz ka imkan
magar nawazish-e-ahl-e-jahan ko kya kahiye
'niyaz'-e-dil hi nazar aae jab harif-e-KHushi
to us ke ba'd gham-e-be-aman ko kya kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.