Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

har chiz mein aks-e-ruKH-e-zeba nazar aaya

Khwaja Azizul Hasan Majzoob

har chiz mein aks-e-ruKH-e-zeba nazar aaya

Khwaja Azizul Hasan Majzoob

MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob

    har chiiz meñ 'aks-e-ruḳh-e-zebā nazar aayā

    'ālam mujhe sab jalva jalva nazar aayā

    kab kisī tālib ko sarāpā nazar aayā

    dekhā tujhe itnā jise jitnā nazar aayā

    kiiñ band jab āñkheñ to mirī khul ga.iiñ āñkheñ

    kyā tum se kahūñ phir mujhe kyā kyā nazar aayā

    jab mohr numāyāñ huā sab chhup ga.e taare

    mujh ko bharī bazm meñ tanhā nazar aayā

    gardūñ ko bhī ab dekh ke hotī hai tasallī

    ġhurbat meñ yahī ek shanāsā nazar aayā

    sab daulat-e-kaunain jo 'ishq ke badle

    is bhaav ye saudā mujhe sastā nazar aayā

    nākām tā-’umr rahā tālib-e-dīdār

    har jalva tarah ba.ad ko pardā nazar aayā

    jo duur nigāhoñ se sar-e-’arsh-e-barīñ hai

    vo nuur sar-e-gumbad-e-kHazrā nazar aayā

    'majzūb' kabhī soz kabhī saaz hai tujh meñ

    'mīr' kabhī aur kabhī 'saudā' nazar aayā

    'majzūb' ke jazbe jo samjhe na haqīqat

    un 'aql ke andhoñ ko ye 'saudā' nazar aayā

    har chiz mein 'aks-e-ruKH-e-zeba nazar aaya

    'alam mujhe sab jalwa hi jalwa nazar aaya

    tu kab kisi talib ko sarapa nazar aaya

    dekha tujhe itna jise jitna nazar aaya

    kin band jab aankhen to meri khul gain aankhen

    kya tum se kahun phir mujhe kya kya nazar aaya

    jab mohr numayan hua sab chhup gae tare

    tu mujh ko bhari bazm mein tanha nazar aaya

    gardun ko bhi ab dekh ke hoti hai tasalli

    ghurbat mein yahi ek shanasa nazar aaya

    sab daulat-e-kaunain jo di 'ishq ke badle

    is bhaw ye sauda mujhe sasta nazar aaya

    nakaam hi ta-’umr raha talib-e-didar

    har jalwa tarah baad ko parda nazar aaya

    jo dur nigahon se sar-e-’arsh-e-barin hai

    wo nur sar-e-gumbad-e-kHazra nazar aaya

    'majzub' kabhi soz kabhi saz hai tujh mein

    tu 'mir' kabhi aur kabhi 'sauda' nazar aaya

    'majzub' ke jazbe ki jo samjhe na haqiqat

    un 'aql ke andhon ko ye 'sauda' nazar aaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now