har ek chehre se be-rabti ’ayan hai
har ik chehre se be-rabtī ’ayāñ hai
mohabbat hai magar jaane kahāñ hai
tire kānoñ meñ aate haiñ jo alfāz
vo be-mā'nī-sī koī dāstāñ hai
ye hastī hai musalsal ḳhvāb lekin
har ik lamha hayāt-e-jāvidāñ hai
koī shaidā nahīñ husn-e-butāñ kā
ba-zāhir ik hujūm-e-'āshiqāñ hai
hamīñ tum haiñ rumūz-e-bazm-e-hastī
zamāna ek andāz-e-bayāñ hai
'nushūr' apnī ġhazal se raushnī le
ki shā.ir bhī charāġh-e-gul-fishāñ hai
har ek chehre se be-rabti ’ayan hai
mohabbat hai magar jaane kahan hai
tere kanon mein aate hain jo alfaz
wo be-ma'ni-si koi dastan hai
ye hasti hai musalsal KHwab lekin
har ek lamha hayat-e-jawidan hai
koi shaida nahin husn-e-butan ka
ba-zahir ek hujum-e-'ashiqan hai
hamin tum hain rumuz-e-bazm-e-hasti
zamana ek andaz-e-bayan hai
'nushur' apni ghazal se raushni le
ki shair bhi charagh-e-gul-fishan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.