har qadam par hum samajhte the ki manzil aa gaī
har qadam par hum samajhte the ki manzil aa gaī
Hafeez Hoshiarpuri
MORE BYHafeez Hoshiarpuri
har qadam par ham samajhte the ki manzil aa ga.ī
har qadam par ik na.ī darpesh mushkil aa ga.ī
yā ḳhalā par hukmarāñ yā ḳhaak ke andar nihāñ
zindagī DaT kar anāsir ke muqābil aa ga.ī
baḌh rahā hai dam-ba-dam sub.h-e-haqīqat kā yaqīñ
har nafas par ye gumāñ hotā hai manzil aa ga.ī
TūTte jaate haiñ rishte joḌtā jaatā huuñ maiñ
ek mushkil kam huī aur ek mushkil aa ga.ī
hāl-e-dil hai koī ḳhvāb-āvar fasāna to nahīñ
niiñd abhī se tum ko ai yārān-e-mahfil aa ga.ī
har qadam par hum samajhte the ki manzil aa gaī
har qadam par ek naī darpesh mushkil aa gaī
yā ḳhalā par hukmarāñ yā ḳhak ke andar nihāñ
zindagī DaT kar anāsir ke muqābil aa gaī
baḌh rahā hai dam-ba-dam subh-e-haqīqat kā yaqīñ
har nafas par ye gumāñ hotā hai manzil aa gaī
TūTte jate haiñ rishte joḌtā jatā huñ maiñ
ek mushkil kam huī aur ek mushkil aa gaī
hāl-e-dil hai koī ḳhwāb-āwar fasāna to nahīñ
niñd abhī se tum ko ai yārān-e-mahfil aa gaī
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.