har samt mein hai tu jalwa-numa ai nur-e-mohammad sallallah
har samt mein hai tu jalwa-numa ai nur-e-mohammad sallallah
Aziz Safipuri
MORE BYAziz Safipuri
har samt meñ hai tū jalva-numā ai nūr-e-mohammad sallallāh
āfāq ko tū ne gher liyā ai nūr-e-mohammad sallallāh
dikhlā ke chamak bālā-e-falak aadam ko kiyā masjūd-e-malak
muusā ko banāyā innī-anā ai nūr-e-mohammad sallallāh
tū sab meñ nihāñ sab tujh se ayaañ hai tere liye ye kaun-o-makāñ
bāhar hai bayāñ se terī sanā ai nūr-e-mohammad sallallāh
tanzīh tū hī tashbīh tū hī har vaj.h se hai taujīh tū hī
hai terī sifat laulāka-lamā ai nūr-e-mohammad sallallāh
har husn-e-adā hai terī adā hai terī haqīqat kun se judā
āshiq hai tirī sūrat pe ḳhudā ai nūr-e-mohammad sallallāh
jab tū ne dikhāyā rū-e-hasīñ arvāh-e-jahāñ mir.āt banīñ
maujūd hue ye mā-o-shumā ai nūr-e-mohammad sallallāh
āġhāz tū hai anjām tū hai īmān tū hī islām tū hai
hai tujh pe 'azīz-e-ḳhasta fidā ai nūr-e-mohammad sallallāh
har samt mein hai tu jalwa-numa ai nur-e-mohammad sallallah
aafaq ko tu ne gher liya ai nur-e-mohammad sallallah
dikhla ke chamak baala-e-falak aadam ko kiya masjud-e-malak
musa ko banaya inni-ana ai nur-e-mohammad sallallah
tu sab mein nihan sab tujh se ayan hai tere liye ye kaun-o-makan
bahar hai bayan se teri sana ai nur-e-mohammad sallallah
tanzih tu hi tashbih tu hi har wajh se hai taujih tu hi
hai teri sifat laulaka-lama ai nur-e-mohammad sallallah
har husn-e-ada hai teri ada hai teri haqiqat kun se juda
aashiq hai teri surat pe KHuda ai nur-e-mohammad sallallah
jab tu ne dikhaya ru-e-hasin arwah-e-jahan miraat banin
maujud hue ye ma-o-shuma ai nur-e-mohammad sallallah
aaghaz tu hai anjam tu hai iman tu hi islam tu hai
hai tujh pe 'aziz-e-KHasta fida ai nur-e-mohammad sallallah
- Book : Irfan-e-Azeez Intikhab-e-Kalam-e-Urdu (Pg. 31-32)
- Author : Azeez Safipuri
- Publication : Urdu Department, Aligarh Muslim University (1946)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.