har taraf se jhankta hai ru-e-jaanana mujhe
har taraf se jhankta hai ru-e-jaanana mujhe
Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
har taraf se jhāñktā hai rū-e-jānāna mujhe
mahfil-e-hastī hai goyā ā.īnā-kHāna mujhe
ik qiyāmat Dhā.egā duniyā se uTh jaanā mirā
yaad kar ke ro.eñge yārān-e-mai-kHāna mujhe
dil milāte bhī nahīñ dāman chhuḌāte bhī nahīñ
tum ne āḳhir kyuuñ banā rakhā hai dīvāna mujhe
yā kamāl-e-qurb ho yā intihā-e-bo'd ho
yā nibhānā saath yā phir bhuul hī jaanā mujhe
tū hī batlā us ta.alluq ko bhalā kyā naam duuñ
saarī duniyā kah rahī hai terā dīvāna mujhe
jis ke sannāTe hoñ merī ḳhāmushī se ham-kalām
kaash mil jaaye 'nasīr' ik aisā vīrāna mujhe
har taraf se jhankta hai ru-e-jaanana mujhe
mahfil-e-hasti hai goya aaina-kHana mujhe
ek qiyamat Dhaega duniya se uTh jaana mera
yaad kar ke roenge yaran-e-mai-kHana mujhe
dil milate bhi nahin daman chhuDate bhi nahin
tum ne aaKHir kyun bana rakha hai diwana mujhe
ya kamal-e-qurb ho ya intiha-e-bo'd ho
ya nibhana sath ya phir bhul hi jaana mujhe
tu hi batla us talluq ko bhala kya nam dun
sari duniya kah rahi hai tera diwana mujhe
jis ke sannaTe hon meri KHamushi se ham-kalam
kash mil jaye 'nasir' ek aisa virana mujhe
- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 791)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.