Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

milegi shaiKH ko jannat hamein dozaKH ata hoga

Hari Chand Akhtar

milegi shaiKH ko jannat hamein dozaKH ata hoga

Hari Chand Akhtar

MORE BYHari Chand Akhtar

    milegī shaiḳh ko jannat hameñ dozaḳh atā hogā

    bas itnī baat hai jis ke liye mahshar bapā hogā

    rahe do do farishte saath ab insāf kyā hogā

    kisī ne kuchh likhā hogā kisī ne kuchh likhā hogā

    ba-roz-e-hashr hākim qādir-e-mutlaq ḳhudā hogā

    farishtoñ ke likhe aur shaiḳh bātoñ se kyā hogā

    tirī duniyā meñ sabr-o-shukr se ham ne basar kar

    tirī duniyā se baḌh kar bhī tire dozaḳh meñ kyā hogā

    sukūn-e-mustaqil dil be-tamannā shaiḳh sohbat

    ye jannat hai to is jannat se dozaḳh kyā burā hogā

    mire ash.ār par ḳhāmosh hai jiz-biz nahīñ hotā

    ye vaa.iz vā.izoñ meñ kuchh haqīqat-āshnā hogā

    bharosa kis qadar hai tujh ko 'aḳhtar' us ke par

    agar vo shaiḳh-sāhab ḳhudā niklā to kyā hogā

    milegi shaiKH ko jannat hamein dozaKH ata hoga

    bas itni baat hai jis ke liye mahshar bapa hoga

    rahe do do farishte sath ab insaf kya hoga

    kisi ne kuchh likha hoga kisi ne kuchh likha hoga

    ba-roz-e-hashr hakim qadir-e-mutlaq KHuda hoga

    farishton ke likhe aur shaiKH ki baaton se kya hoga

    teri duniya mein sabr-o-shukr se hum ne basar kar li

    teri duniya se baDh kar bhi tere dozaKH mein kya hoga

    sukun-e-mustaqil dil be-tamanna shaiKH ki sohbat

    ye jannat hai to is jannat se dozaKH kya bura hoga

    mere ashaar par KHamosh hai jiz-biz nahin hota

    ye waiz waizon mein kuchh haqiqat-ashna hoga

    bharosa kis qadar hai tujh ko 'aKHtar' us ki ke par

    agar wo shaiKH-sahab ka KHuda nikla to kya hoga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now