dair-o-haram ke pher mein apna bhram ganwae kyun
dair-o-haram ke pher meñ apnā bhram gañvā.e kyuuñ
ghar pe jo be-niyāz ho dar pe kisī ke jaa.e kyuuñ
ġham kā hai mustahiq vahī jis ko nasīb ho ḳhushī
jo na hañsā ho umr bhar koī use rulā.e kyuuñ
tū jo sune na iltijā dast-e-nigar ho kyuuñ tirā
jab na qabūl ho duā haath koī uThā.e kyuuñ
dair-o-haram ke pher mein apna bhram ganwae kyun
ghar pe jo be-niyaz ho dar pe kisi ke jae kyun
gham ka hai mustahiq wahi jis ko nasib ho KHushi
jo na hansa ho umr bhar koi use rulae kyun
tu jo sune na iltija dast-e-nigar ho kyun tera
jab na qabul ho dua hath koi uThae kyun
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XI (Pg. 171)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.