ek aah kare jo dil-e-diwana hamara
ik aah kare jo dil-e-dīvāna hamārā
do harfoñ meñ bas ḳhatm ho afsāna hamārā
TuuTā bhī to ka.aba kī banā Daal ke TuuTā
bigḌā to banā aur bhī but-ḳhāna hamārā
ik jaam dam-e-naza.a tasadduq tire saaqī
labrez huā jaatā hai paimāna hamārā
duniyā ke ulaT jaa.eñ varaq ḳhatm na hogā
vo daftar-e-ġham hai 'shafaq' afsāna hamārā
ek aah kare jo dil-e-diwana hamara
do harfon mein bas KHatm ho afsana hamara
TuTa bhi to kaba ki bana Dal ke TuTa
bigDa to bana aur bhi but-KHana hamara
ek jam dam-e-naza tasadduq tere saqi
labrez hua jata hai paimana hamara
duniya ke ulaT jaen waraq KHatm na hoga
wo daftar-e-gham hai 'shafaq' afsana hamara
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XI (Pg. 171)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.