sanam ka naz-o-andaz-o-ada kya
sanam kā nāz-o-andāz-o-adā kyā
faqīr-e-vārsī kā mudda.ā kyā
nahīñ gesū tire kālī-balā kyā
nahīñ abrū tire ḳhanjar-numā kyā
kiyā ḳhūn-e-tamannā tū ne zālim
tujhe darkār hai rañg-e-hinā kyā
vajūd-e-zarra hai ham-palla-e-ḳhud
hamārī aañkh meñ chhoTā baḌā kyā
mare koī jiye koī balā se
tumheñ parvā-e-jān-e-mubtalā kyā
'hasan' ham haiñ ġhulām-e-shāh-e-vāris
hamārī rindiyoñ kā pūchhnā kyā
sanam ka naz-o-andaz-o-ada kya
faqir-e-warsi ka muddaa kya
nahin gesu tere kali-bala kya
nahin abru tere KHanjar-numa kya
kiya KHun-e-tamanna tu ne zalim
tujhe darkar hai rang-e-hina kya
wajud-e-zarra hai ham-palla-e-KHud
hamari aankh mein chhoTa baDa kya
mare koi jiye koi bala se
tumhein parwa-e-jaan-e-mubtala kya
'hasan' hum hain ghulam-e-shah-e-waris
hamari rindiyon ka puchhna kya
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 92)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.