ho jae KHabar kash na bani-e-najaf ko
ho jaa.e ḳhabar kaash na bānī-e-najaf ko
bīmār-e-mohabbat ne bulāyā hai qazā ko
kuchh jazba-e-ulfat kā asar dekh luuñ yārab
hamrāh liye aa.eñ vo ḳhud merī qazā ko
sheva to hamesha se ab vajd kā yahī hai
chhoḌo 'hasan' jāda-e-talīm-o-razā ko
ho jae KHabar kash na bani-e-najaf ko
bimar-e-mohabbat ne bulaya hai qaza ko
kuchh jazba-e-ulfat ka asar dekh lun yarab
hamrah liye aaen wo KHud meri qaza ko
shewa to hamesha se ab wajd ka yahi hai
chhoDo 'hasan' jada-e-talim-o-raza ko
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 93)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.