sher ahwal-e-dil-e-zar bata sakta hai
sher ahvāl-e-dil-e-zār batā saktā hai
ye kabūtar koī paiġhām bhī lā saktā hai
kashtī-e-nūh banāo ke kisī vaqt yahāñ
jaise hālāt haiñ tūfān bhī aa saktā hai
sab ke hāthoñ meñ hai ab āla-e-tasvīr-kashī
bach ke rahnā koī ā.īna bhī dikhā saktā hai
kar de aañsū ke Tapakne kī vazāhat varna
qāfiya koī bhī mazmūn sujhā saktā hai
aa uñDel apne sabhī ġham mere tah-ḳhāne meñ
kūza-e-dil meñ to dariyā bhī samā saktā hai
sher ahwal-e-dil-e-zar bata sakta hai
ye kabutar koi paigham bhi la sakta hai
kashti-e-nuh banao ke kisi waqt yahan
jaise haalat hain tufan bhi aa sakta hai
sab ke hathon mein hai ab aala-e-taswir-kashi
bach ke rahna koi aaina bhi dikha sakta hai
kar de aansu ke Tapakne ki wazahat warna
qafiya koi bhi mazmun sujha sakta hai
aa unDel apne sabhi gham mere tah-KHane mein
kuza-e-dil mein to dariya bhi sama sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.