aTki hui hai koi nazar aasman par
aTkī huī hai koī nazar āsmān par
ai shab zarā sī der Thahar āsmān par
jī chāhtā thā dekh luuñ terī zamīn bhī
varna to ālī-shān thā ghar āsmān par
ham ne taḳhaiyyulāt se apne liyā ye kaam
ham ne banā.ī rāh-guzar āsmān par
hablil-varīd kah ke pata jis ne de diyā
DhūñDoge aur us ko kidhar āsmān par
ahl-e-zamīñ kī aañkh se kaise chhupegā vo
dikhlā.egā jo apnā hunar āsmān par
aTki hui hai koi nazar aasman par
ai shab zara si der Thahar aasman par
ji chahta tha dekh lun teri zamin bhi
warna to aali-shan tha ghar aasman par
hum ne taKHaiyyulat se apne liya ye kaam
hum ne banai rah-guzar aasman par
hablil-warid kah ke pata jis ne de diya
DhunDoge aur us ko kidhar aasman par
ahl-e-zamin ki aankh se kaise chhupega wo
dikhlaega jo apna hunar aasman par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.