KHushiyon mein gham ke rag sunane lage mujhe
ḳhushiyoñ meñ ġham ke raag sunāne lage mujhe
hañsne lagā to log rulāne lage mujhe
kuchh to khilegā aaj sar-e-shāḳh aarzū
ġhunche chaTaḳh-chaTaḳh ke batāne lage mujhe
ik tajraba huā jo mohabbat kā us ke baa'd
jitnī kahāniyāñ thiiñ fasāne lage mujhe
un ko koī batā.e ki maiñ sañg-e-mīl huuñ
jo sañg-e-rah samajh ke haTāne lage mujhe
KHushiyon mein gham ke rag sunane lage mujhe
hansne laga to log rulane lage mujhe
kuchh to khilega aaj sar-e-shaKH aarzu
ghunche chaTaKH-chaTaKH ke batane lage mujhe
ek tajraba hua jo mohabbat ka us ke ba'd
jitni kahaniyan thin fasane lage mujhe
un ko koi batae ki main sang-e-mil hun
jo sang-e-rah samajh ke haTane lage mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.