hujum-e-be-kasi ki wajh lutf-e-be-karan paya
hujūm-e-be-kasī kī vaj.h lutf-e-be-karāñ paayā
ki ham ne aaj us nā-mehrbāñ ko mehrbāñ paayā
magar thā rañg bazm-e-yār meñ nairañg-e-ālam kā
kisī ko sar-nigūñ dekhā kisī ko shādmāñ paayā
sitam samjhe hue the ham tirī be-e'tinā.ī ko
magar jab ġhaur se dekhā to ik lutf-e-nihāñ paayā
kise fursat tumhārī justujū ke shauq-e-behad se
abhī ham ne kahāñ DhūñDhā abhī ham ne kahāñ paayā
na samjhā bāni-e-jaur-o-jafā us shoḳh ko koī
ki ham ne jis ko paayā shikva-sanj-āsmāñ paayā
na pā sakte kabhī pāband rah kar qaid-e-hastī meñ
so ham ne be-nishāñ ho kar tujhe o be-nishāñ paayā
haqīqat nāla-e-dil se khulī ġham-hā-e-pinhāñ kī
sunā sū-e-jaras jis ne nishān-e-kārvāñ paayā
hañsī ibrat bahut jab rañg-e-gul kī be-sabātī ne
chaman meñ andalīb-e-sāda-dil ko shādmāñ paayā
na jaane koī merī vaz.a-e-rusvā par ki ai 'hasrat'
kamāl-e-āshiqī ne mujh ko yaktā-e-zamāñ paayā
hujum-e-be-kasi ki wajh lutf-e-be-karan paya
ki hum ne aaj us na-mehrban ko mehrban paya
magar tha rang bazm-e-yar mein nairang-e-alam ka
kisi ko sar-nigun dekha kisi ko shadman paya
sitam samjhe hue the hum teri be-e'tinai ko
magar jab ghaur se dekha to ek lutf-e-nihan paya
kise fursat tumhaari justuju ke shauq-e-behad se
abhi hum ne kahan DhunDha abhi hum ne kahan paya
na samjha bani-e-jaur-o-jafa us shoKH ko koi
ki hum ne jis ko paya shikwa-sanj-asman paya
na pa sakte kabhi paband rah kar qaid-e-hasti mein
so hum ne be-nishan ho kar tujhe o be-nishan paya
haqiqat nala-e-dil se khuli gham-ha-e-pinhan ki
suna su-e-jaras jis ne nishan-e-karwan paya
hansi ibrat bahut jab rang-e-gul ki be-sabaati ne
chaman mein andalib-e-sada-dil ko shadman paya
na jaane koi meri waza-e-ruswa par ki ai 'hasrat'
kamal-e-ashiqi ne mujh ko yakta-e-zaman paya
- Book : Kulliyat-e-Hasrat Mohani (Pg. 102)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : Maktaba isha.at Urdu, Dehli (1959)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.