wo chup ho gae mujhse kya kahte kahte
vo chup ho ga.e mujh se kyā kahte kahte
ki dil rah gayā mudda.ā kahte kahte
mirā ishq bhī ḳhud-ġharaz ho chalā hai
tire husn ko bevafā kahte kahte
shab-e-ġham kis ārām se sau ga.e ham
fasāna tirī yaad kā kahte kahte
ye kyā paḌ ga.ī ḳhū-e-dushnām tum ko
mujhe nā-sazā barmalā kahte kahte
vo aa.e magar aa.e kis vaqt 'hasrat'
ki ham chal-base marhabā kahte kahte
wo chup ho gae mujh se kya kahte kahte
ki dil rah gaya muddaa kahte kahte
mera ishq bhi KHud-gharaz ho chala hai
tere husn ko bewafa kahte kahte
shab-e-gham kis aaram se sau gae hum
fasana teri yaad ka kahte kahte
ye kya paD gai KHu-e-dushnam tum ko
mujhe na-saza barmala kahte kahte
wo aae magar aae kis waqt 'hasrat'
ki hum chal-base marhaba kahte kahte
- Book : Kulliyat-e-Hasrat Mohani (Pg. 300)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : Maktaba Isha.at Urdu, Delhi (1959)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.