haye re barbaad-samani meri
haaye re barbād-sāmān.ī mirī
bekasī kartī hai darbānī mirī
mujh sā āvāra na paayā mere ba.ad
muddatoñ roī pareshānī mirī
chuum kar un ke qadam nādim huuñ maiñ
haaye re jhūTī pashemānī mirī
ho rahā hai ġhair mujh se bad-gumāñ
hañs rahī hai pāk-dāmānī mirī
vāsta zulf-e-pareshāñ kā tumheñ
dekh hī jaao pareshānī mirī
ho ga.ī zāhir libās-e-sher meñ
vo jo pinhāñ thī pareshānī mirī
ho jise ho ḳhvāhish-e-aql-e-salīm
mujh ko to achchhī hai nādānī mirī
haye re barbaad-samani meri
bekasi karti hai darbani meri
mujh sa aawara na paya mere baad
muddaton roi pareshani meri
chum kar un ke qadam nadim hun main
haye re jhuTi pashemani meri
ho raha hai ghair mujh se bad-guman
hans rahi hai pak-damani meri
wasta zulf-e-pareshan ka tumhein
dekh hi jao pareshani meri
ho gai zahir libas-e-sher mein
wo jo pinhan thi pareshani meri
ho jise ho KHwahish-e-aql-e-salim
mujh ko to achchhi hai nadani meri
- Book : Kulliyat-e-Hasrat Mohani (Pg. 425)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : Maktaba Isha.at Urdu, Delhi (1959)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.