bhulata lakh hun lekin barabar yaad aate hain
bhulātā laakh huuñ lekin barābar yaad aate haiñ
ilāhī tark-e-ulfat par vo kyuuñ kar yaad aate haiñ
na chheḌ ai ham-nashīñ kaifiyat-e-sahbā ke afsāne
sharāb-e-be-ḳhudī ke mujh ko sāġhar yaad aate haiñ
nahīñ aatī to yaad un kī mahīnoñ tak nahīñ aatī
magar jab yaad aate haiñ to aksar yaad aate haiñ
haqīqat khul ga.ī 'hasrat' tire tark-e-mohabbat kī
tujhe to ab vo pahle se bhī baḌh kar yaad aate haiñ
bhulata lakh hun lekin barabar yaad aate hain
ilahi tark-e-ulfat par wo kyun kar yaad aate hain
na chheD ai ham-nashin kaifiyat-e-sahba ke afsane
sharab-e-be-KHudi ke mujh ko saghar yaad aate hain
nahin aati to yaad un ki mahinon tak nahin aati
magar jab yaad aate hain to aksar yaad aate hain
haqiqat khul gai 'hasrat' tere tark-e-mohabbat ki
tujhe to ab wo pahle se bhi baDh kar yaad aate hain
- Book : Kulliyat-e-Hasrat Mohani (Pg. 125)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : Maktaba Isha.at Urdu, Delhi (1959)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.