husn ki tarh agar ishq numayan hota
husn kī tarh agar 'ishq numāyāñ hotā
jitnā nāzāñ hai tū utnā hī pashemāñ hotā
'ishq mumtāz havas se kisī 'unvāñ hotā
kaash dushman na mirī tarh pashemāñ hotā
kyā hai gar mere junūñ meñ hai numā.ish terī
tere jalvoñ se junūñ merā numāyāñ hotā
le ga.ī dasht meñ vahshat ne ye ehsān kiyā
varna ham rahte to ghar aur bayābāñ hotā
na mare ham ye tirī aabrū rakh lī ham ne
tere bīmār pe kyuuñ maut kā ehsāñ hotā
husn ki tarh agar 'ishq numayan hota
jitna nazan hai tu utna hi pasheman hota
'ishq mumtaz hawas se kisi 'unwan hota
kash dushman na meri tarh pasheman hota
kya hai gar mere junun mein hai numaish teri
tere jalwon se junun mera numayan hota
le gai dasht mein wahshat ne ye ehsan kiya
warna hum rahte to ghar aur bayaban hota
na mare hum ye teri aabru rakh li hum ne
tere bimar pe kyun maut ka ehsan hota
- Book : Intikhab-e-Kalaam-e-Maikash (Pg. 122)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.