ibn-e-adam barsar-e-paikar hai
ibn-e-ādam barsar-e-paikār hai
garm zulm-o-jaur kā bāzār hai
dandanāte phir rahe haiñ shar-pasand
kaun āḳhir us kā zimmedār hai
bo rahā hai buġhz-o-nafrat ke vo biij
jis kī apnī zehniyat bīmār hai
hai aziiz apnā use shaḳhsī mafād
maslahat-bīñ aaj kā fankār hai
ḳhūn-e-insāñ kī tijārat ke liye
jis ko apnā fā.eda darkār hai
kartā hai barham nizām-e-zindagī
sirf māl-o-zar se us ko pyaar hai
dekh kar chaliye zarā dām-e-fareb
vo shikārī dar-pa-e-āzār hai
rakhiye gird-o-pesh par apne nazar
gul ke pahlū meñ vo dekheñ ḳhaar hai
jis kī nazroñ meñ barābar hoñ sabhī
mulk-o-millat kā vahī me.amār hai
haq ne dī hai aap ko vo aql-e-kul
jo mohabbat kī alam-bardār hai
aao mil-jul kar use ham tai kareñ
zindagī kā jo safar dushvār hai
bhā.ī-chāre kī fazā qaa.em kareñ
aap kā 'barqī' yahi ġham-ḳhvār hai
ibn-e-adam barsar-e-paikar hai
garm zulm-o-jaur ka bazar hai
dandanate phir rahe hain shar-pasand
kaun aaKHir us ka zimmedar hai
bo raha hai bughz-o-nafrat ke wo bij
jis ki apni zehniyat bimar hai
hai aziz apna use shaKHsi mafad
maslahat-bin aaj ka fankar hai
KHun-e-insan ki tijarat ke liye
jis ko apna faeda darkar hai
karta hai barham nizam-e-zindagi
sirf mal-o-zar se us ko pyar hai
dekh kar chaliye zara dam-e-fareb
wo shikari dar-pa-e-azar hai
rakhiye gird-o-pesh par apne nazar
gul ke pahlu mein wo dekhen KHar hai
jis ki nazron mein barabar hon sabhi
mulk-o-millat ka wahi meamar hai
haq ne di hai aap ko wo aql-e-kul
jo mohabbat ki alam-bardar hai
aao mil-jul kar use hum tai karen
zindagi ka jo safar dushwar hai
bhai-chaare ki faza qaem karen
aap ka 'barqi' yahi gham-KHwar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.