Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kare wo pyar kaise zindagi se

Ibrat Bahraichi

kare wo pyar kaise zindagi se

Ibrat Bahraichi

MORE BYIbrat Bahraichi

    kare vo pyaar kaise zindagī se

    jise fursat na ho āvārgī se

    sadā karatā hai vo āñkhoñ se jaadū

    miyāñ vo kam nahīñ hai sāmrī se

    baḌe aḳhlāq vaalā hai vo insāñ

    jo miltā hai har ik se ’ājizī se

    vo ahmaq hai jo rakhe us se rishta

    ta'alluq jo nahīñ rakhtā kisī se

    ḳhamoshī meñ hai pinhāñ pārsā.ī

    ta'alluq joḌ lo tum ḳhāmushī se

    banā letā hai apne kaam saare

    takallum se nahīñ mub.ham hañsī se

    kare wo pyar kaise zindagi se

    jise fursat na ho aawargi se

    sada karata hai wo aankhon se jadu

    miyan wo kam nahin hai samri se

    baDe aKHlaq wala hai wo insan

    jo milta hai har ek se ’ajizi se

    wo ahmaq hai jo rakhe us se rishta

    ta'alluq jo nahin rakhta kisi se

    KHamoshi mein hai pinhan parsai

    ta'alluq joD lo tum KHamushi se

    bana leta hai apne kaam sare

    takallum se nahin mubham hansi se

    Source :
    • Book : Maghz-e-Sukhan (Pg. 45)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now