andheron ko qaba-e-raushni di
añdheroñ ko qabā-e-raushnī dī
bayābāñ ko bahār-e-zindagī dī
tashaddud ke shikanjoñ se chhuḌā kar
lab-e-ḳhāmosh ko ḳhanda-labī dī
nahīñ vāqif thā jo lafz-e-ḳhushī se
rasūl-allāh ne us ko ḳhushī dī
uḳhuvvat ke charāġhoñ ko jalā kar
tashaddud ko nigāh-e-dostī dī
jo nā-vāqif the ahkām-e-ḳhudā se
unheñ 'ilm-o-sh'ūr-o-āgahī dī
bachānā thā hameñ dozaḳh se 'ibrat'
jo ne'amat-e-dīn kī itnī baḌī dī
andheron ko qaba-e-raushni di
bayaban ko bahaar-e-zindagi di
tashaddud ke shikanjon se chhuDa kar
lab-e-KHamosh ko KHanda-labi di
nahin waqif tha jo lafz-e-KHushi se
rasul-allah ne us ko KHushi di
uKHuwwat ke charaghon ko jala kar
tashaddud ko nigah-e-dosti di
jo na-waqif the ahkaam-e-KHuda se
unhen 'ilm-o-sh'ur-o-agahi di
bachana tha hamein dozaKH se 'ibrat'
jo ne'amat-e-din ki itni baDi di
- Book : Wajh-e-Lauh-o-Qalam (Pg. 45)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.