dagh-ha-e-gham ne ehsan kar diya
dāġh-hā-e-ġham ne ehsāñ kar diyā
sīna-o-dil ko gulistāñ kar diyā
sāqī-e-kHum-kHāna-e-tauhīd ne
dil ko mast-e-jām-e-'irfāñ kar diyā
jab ruḳh-e-zebā dikhāyā yaar ne
dekhne vāloñ ko hairāñ kar diyā
husn ne maftūñ kiyā apnā mujhe
'ishq ne be-sāz-o-sāmāñ kar diyā
haiñ karishme ye bhī husn-o-'ishq ke
mujh ko muflis tujh ko sultāñ kar diyā
'vāqif' apne pīr-e-kāmil ke nisār
marham-e-asrār-e-pinhāñ kar dayā
dagh-ha-e-gham ne ehsan kar diya
sina-o-dil ko gulistan kar diya
saqi-e-kHum-kHana-e-tauhid ne
dil ko mast-e-jam-e-'irfan kar diya
jab ruKH-e-zeba dikhaya yar ne
dekhne walon ko hairan kar diya
husn ne maftun kiya apna mujhe
'ishq ne be-saz-o-saman kar diya
hain karishme ye bhi husn-o-'ishq ke
mujh ko muflis tujh ko sultan kar diya
'waqif' apne pir-e-kaamil ke nisar
marham-e-asrar-e-pinhan kar daya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.