hai ajab naqsha but-e-maghrur ka
hai 'ajab naqsha but-e-maġhrūr kā
huur kī tasvīr jalva nuur kā
band kiiñ āñkheñ to dekhā aap ko
gosha-e-dil meñ hai jalva tuur kā
naaz uThātā huuñ mujhe bosa mile
dil zarā to ḳhush karo mazdūr kā
sāya-e-gesū meñ hai dīvāna dil
tuul hai qissa shab-e-daijūr kā
dil kī ’ainak se nazar aatā hai 'arsh
maiñ tamāsha dekhtā huuñ duur kā
har ghaḌī mimbar pe tausīf bahisht
'ishq vā'iz ko hai pinhāñ huur kā
siina bariyāñ chashm giryāñ be-qarār
haal hai ye ‘vāqif’-e-ranjūr kā
hai 'ajab naqsha but-e-maghrur ka
hur ki taswir jalwa nur ka
band kin aankhen to dekha aap ko
gosha-e-dil mein hai jalwa tur ka
naz uThata hun mujhe bosa mile
dil zara to KHush karo mazdur ka
saya-e-gesu mein hai diwana dil
tul hai qissa shab-e-daijur ka
dil ki ’ainak se nazar aata hai 'arsh
main tamasha dekhta hun dur ka
har ghaDi mimbar pe tausif bahisht
'ishq wa'iz ko hai pinhan hur ka
sina bariyan chashm giryan be-qarar
haal hai ye ‘waqif’-e-ranjur ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.