Font by Mehr Nastaliq Web

ishq ke aasar hain phir ghash mujhe aaya dekho

Bedam Shah Warsi

ishq ke aasar hain phir ghash mujhe aaya dekho

Bedam Shah Warsi

ishq ke āsār haiñ phir ġhash mujhe aayā dekho

phir koī rauzan-e-dīvār se jhāñkā dekho

un ke milne tamannā meñ miTā jaatā huuñ

na.ī duniyā hai mire shauq duniyā dekho

tuur par nahīñ nazzāra-e-jānāñ mauqūf

dekhnā ho to vo maujūd hai har dekho

asar-e-nāla-e-āshiq nahīñ dekhā tum ne

thaam lo dil ko sambhal baiTho ab achchhā dekho

taur majnūñ nigāhoñ ke batāte haiñ hameñ

isī lailā meñ hai ik dūsrī lailā dekho

partav-e-mehr se ma.amūr hai zarra zarra

lahreñ letā hai har ik qatre meñ dariyā dekho

duur ho jaa.eñ jo āñkhoñ se hijābāt-e-duī

phir to dil meñ do-ālam tamāshā dekho

sab meñ DhūñDā unheñ aur to na dil meñ talāsh

nazar-e-shauq kahāñ khaa.ī hai dhokā dekho

nahīñ thamte nahīñ thamte mire aañsū 'bedam'

rāz-e-dil un pe huā jaatā hai ifshā dekho

ishq ke aasar hain phir ghash mujhe aaya dekho

phir koi rauzan-e-diwar se jhanka dekho

un ke milne ki tamanna mein miTa jata hun

nai duniya hai mere shauq ki duniya dekho

tur par hi nahin nazzara-e-jaanan mauquf

dekhna ho to wo maujud hai har ja dekho

asar-e-nala-e-ashiq nahin dekha tum ne

tham lo dil ko sambhal baiTho ab achchha dekho

taur majnun ki nigahon ke batate hain hamein

isi laila mein hai ek dusri laila dekho

partaw-e-mehr se mamur hai zarra zarra

lahren leta hai har ek qatre mein dariya dekho

dur ho jaen jo aankhon se hijabaat-e-dui

phir to dil hi mein do-alam ka tamasha dekho

sab mein DhunDa unhen aur ki to na ki dil mein talash

nazar-e-shauq kahan khai hai dhoka dekho

nahin thamte nahin thamte mere aansu 'bedam'

raaz-e-dil un pe hua jata hai ifsha dekho

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now