’ishq majzub hai diwana hai
’ishq majzūb hai dīvāna hai
'aql se hosh se begāna hai
na kahīñ ghar na kahīñ dar us kā
shahar hai baaġh hai vīrāna hai
kahīñ sāġhar hai na miinā na subū
mast hai sāhib-e-mai-kHāna hai
tālib-e-jalva-e-jānāñ bhī nahīñ
aap hī jalva-e-jānāna hai
haftum iqlīm meñ sultān hai vo
aur andāz-e-faqīrānā hai
’ishq majzub hai diwana hai
'aql se hosh se begana hai
na kahin ghar na kahin dar us ka
shahar hai bagh hai virana hai
kahin saghar hai na mina na subu
mast hai sahib-e-mai-kHana hai
talib-e-jalwa-e-jaanan bhi nahin
aap hi jalwa-e-jaanana hai
haftum iqlim mein sultan hai wo
aur andaz-e-faqirana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.