ishwa hai naz hai ghamza hai ada hai kya hai
ishwa hai naz hai ghamza hai ada hai kya hai
Ehsanullah Khan Bayan
MORE BYEhsanullah Khan Bayan
ishva hai naaz hai ġhamza hai adā hai kyā hai
qahr hai sehr hai jaadū hai balā hai kyā hai
yaar se merī jo karte haiñ sifārish aġhyār
makar hai uzr hai qaabū hai daġhā hai kyā hai
tujh ko kis naam se ai faḳhr mare yaad karūñ
baap hai piir hai murshid hai ḳhudā hai kyā hai
tum jo be vaj.h satāte ho mirī jaañ mujhe
ḳhuub hai nek hai behtar hai bhalā hai kyā hai
rū-ba-rū us ke kabhū baat na sudhrī ham se
hilm hai chain hai dahshat hai hayā hai kyā hai
nazm ko sun ke mirī hañs ke ye bolā vo shoḳh
mad.h hai shukr hai shikva hai gilā hai kyā hai
ye jo us shoḳh pe karatā hai 'bayāñ' jaan nisār
ḳhabt hai ishq hai saudā hai vafā hai kyā hai
ishwa hai naz hai ghamza hai ada hai kya hai
qahr hai sehr hai jadu hai bala hai kya hai
yar se meri jo karte hain sifarish aghyar
makar hai uzr hai qabu hai dagha hai kya hai
tujh ko kis nam se ai faKHr mare yaad karun
bap hai pir hai murshid hai KHuda hai kya hai
tum jo be wajh satate ho meri jaan mujhe
KHub hai nek hai behtar hai bhala hai kya hai
ru-ba-ru us ke kabhu baat na sudhri hum se
hilm hai chain hai dahshat hai haya hai kya hai
nazm ko sun ke meri hans ke ye bola wo shoKH
madh hai shukr hai shikwa hai gila hai kya hai
ye jo us shoKH pe karata hai 'bayan' jaan nisar
KHabt hai ishq hai sauda hai wafa hai kya hai
- Book : Deewan-e-Bayaan (Pg. 106)
- Author : Khavja Ahsanullah Khan Bayaan
- Publication : Aala Printing Press,Delhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.