zara sa hukm farmate to aate
zarā sā hukm farmāte to aate
agar tūfān bhī aate to aate
tumheñ ham dil se apnā mānte haiñ
ḳhabar ġhairoñ se bhijvāte to aate
abhī ḳhush ho to kyuuñ aane lage tum
jo bādal ġham ke manḌrāte to aate
ye adnā nahr kyā tasnīm-o-kausar
ishāra aap kā paate to aate
haqīqat meñ kahāñ ā.eñge milne
agar vo ḳhvāb meñ aate to aate
vo ham ko ġhair ab bhī mānte haiñ
jo un ke apne Thukrāte to aate
zara sa hukm farmate to aate
agar tufan bhi aate to aate
tumhein hum dil se apna mante hain
KHabar ghairon se bhijwate to aate
abhi KHush ho to kyun aane lage tum
jo baadal gham ke manDraate to aate
ye adna nahr kya tasnim-o-kausar
ishaara aap ka pate to aate
haqiqat mein kahan aaenge milne
agar wo KHwab mein aate to aate
wo hum ko ghair ab bhi mante hain
jo un ke apne Thukraate to aate
- Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 310)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.