jāneñ mushtāqoñ kī lab par āiyāñ
jāneñ mushtāqoñ kī lab par ā.iyāñ
balbe zālim terī be-parvā.iyāñ
sub.h hone aa.ī raat āḳhir huī
bas kahāñ tak shoḳhiyāñ machlā.iyāñ
bis bharī nāgin hai kyā hī zulf-e-yār
jis ko dekh af.ī ne lahreñ khā.iyāñ
jeb to kyā nāsehā dāman kī bhī
dhajjiyāñ kar ishq ne dikhlā.iyāñ
sāda-rūī hī ġhazab thī tis upar
karte ho har lahza husn-ārā.iyāñ
us saman-andām gul-ruḳhsār kī
jāñ-fazā nik.hat churā kar lā.iyāñ
sun ke ye bād-e-sabā ne baaġh meñ
gaThriyāñ ġhunchoñ kī phir khulvā.iyāñ
leTā chhātī par mirī letā thā vo
aah kis kis aan se añgḌā.iyāñ
is samay ko dekh kar sau rashk se
mauj ne dariyā pe lahreñ khā.iyāñ
dekhte hī us ko shaidā ho gayā
kyā huiiñ 'bedār' vo dānā.iyāñ
jāneñ mushtāqoñ kī lab par āiyāñ
balbe zālim terī be-parwāiyāñ
subh hone aaī raat āḳhir huī
bas kahāñ tak shoḳhiyāñ machlāiyāñ
bis bharī nāgin hai kyā hī zulf-e-yār
jis ko dekh afī ne lahreñ khāiyāñ
jeb to kyā nāsehā dāman kī bhī
dhajjiyāñ kar ishq ne dikhlāiyāñ
sāda-rūī hī ġhazab thī tis upar
karte ho har lahza husn-ārāiyāñ
us saman-andām gul-ruḳhsār kī
jāñ-fazā nikhat churā kar lāiyāñ
sun ke ye bād-e-sabā ne baġh meñ
gaThriyāñ ġhunchoñ kī phir khulwāiyāñ
leTā chhātī par mirī letā thā wo
aah kis kis aan se añgḌāiyāñ
is samay ko dekh kar sau rashk se
mauj ne dariyā pe lahreñ khāiyāñ
dekhte hī us ko shaidā ho gayā
kyā huiñ 'bedār' wo dānāiyāñ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.