jab sada uski kan paDti hai
jab sadā us kī kaan paḌtī hai
jaan meñ merī jaan paḌtī hai
hañsī us kī kuchh na pūchho tum
barq sī dil pe aan paḌtī hai
qadr us kī vahī samajhtā hai
jis pe ai mehrbān paḌtī hai
kasū hi tarah se nahiñ khulti
jab karah dil meiñ aan paDti hai
ḳhāksārī se ḳhaak hote haiñ
jab nazar us kī shaan paḌtī hai
be-ḳhudī meñ shuhūd-e-hastī-e-'ishq
gāh-be-gāh dhyān paḌtī hai
jab sada us ki kan paDti hai
jaan mein meri jaan paDti hai
hansi us ki kuchh na puchho tum
barq si dil pe aan paDti hai
qadr us ki wahi samajhta hai
jis pe ai mehrban paDti hai
kasu hi tarah se nahin khulti
jab karah dil mein aan paDti hai
KHaksari se KHak hote hain
jab nazar us ki shan paDti hai
be-KHudi mein shuhud-e-hasti-e-'ishq
gah-be-gah dhyan paDti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.