Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

jab se ghairon ko usne sath rakha

Shah Turab Ali Qalandar

jab se ghairon ko usne sath rakha

Shah Turab Ali Qalandar

jab se ġhairoñ ko us ne saath rakhā

kuchh na yāroñ se iltifāt rakhā

aap hañstā rahā raqīboñ se

ham ko rotā tamām raat rakhā

ḳhuub āġhāz ḳhat talak ham par

sadd-e-bāb-e-makātibāt rakhā

dil gayā haath se mere haihāt

haath par us ke jab maiñ haath rakhā

ishq meñ kiyā 'turāb' ko haq ne

aql se hila-e-najāt rakhā

jab se ghairon ko us ne sath rakha

kuchh na yaron se iltifat rakha

aap hansta raha raqibon se

hum ko rota tamam raat rakha

KHub aaghaz KHat talak hum par

sadd-e-bab-e-makatibaat rakha

dil gaya hath se mere haihat

hath par us ke jab main hath rakha

ishq mein kiya 'turab' ko haq ne

aql se hila-e-najat rakha

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now