Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

jab tak ki dil na lagā un be-murawwatoñ se

Meer Muhammad Bedar

jab tak ki dil na lagā un be-murawwatoñ se

Meer Muhammad Bedar

MORE BYMeer Muhammad Bedar

    jab tak ki dil na laagā un be-muravvatoñ se

    ayyām apne guzre kyā kyā farāġhatoñ se

    bālīn par bhī zālim Tuk yak nazar na dekhā

    āshiq ne jaan to par kyā hasratoñ se

    mat pūchh ye ki tujh bin shab kis tarah se guzrī

    kaaTī to raat lekin kin kin musībatoñ se

    mazmūn soz-e-dil kahte uḌne laage

    harf o nuqat sharar-sāñ yaksāñ kitābatoñ se

    'bedār' sair-e-gulshan kyūñ-kar ḳhush aave mujh ko

    juuñ laala daaġh hai dil yāroñ furqatoñ se

    jab tak ki dil na lagā un be-murawwatoñ se

    ayyām apne guzre kyā kyā farāġhatoñ se

    bālīn par bhī zālim Tuk yak nazar na dekhā

    āshiq ne jaan to par kyā hasratoñ se

    mat pūchh ye ki tujh bin shab kis tarah se guzrī

    kaTī to raat lekin kin kin musībatoñ se

    mazmūn soz-e-dil kahte uḌne lage

    harf o nuqat sharar-sāñ yaksāñ kitābatoñ se

    'bedār' sair-e-gulshan kyūñ-kar ḳhush aawe mujh ko

    juñ lala daġh hai dil yāroñ furqatoñ se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now